Khuda se maine poocha
Aye mere maula, mujhe itna tanha kyun banaya
Na usne kuch kaha... na mujhe kuch sunayi diya
Ruh se bilap ke bas ek aah nikli
Zindagi mayus, yeh jahan mayus
Mayus hum aur mayus tum
Khali karwate hi reh gayi hain
Silwate bhi na yeh jati hain
Bas hum unhe aur woh hame dekhte hain
Royi si meri ankhein hain
Is zaalim sitam se murjhayi hain
Yeh zakhm aur ghao bhi na bharte hain
Os ki bunde bhi na marham bani
Na hi woh raat ki chandni
Bas hain akele hum aur yeh hamari tanhayi
Rote ko to dekha hai usne
Dil ka rona na dikha usko
Jab woh hi nahi to kya karein gila aur kya karein sikwa
Zanzeeron se hi bandha he ye ruh
Yeh shaam ka chirag bhi aya bujhne ko
Zubaan phir bhi kuch na bole na samjha paye bhi usko
Apni nazron se to gira diya tune
Ab khud se na kar juda
Noor to main kal bhi tha aaj bhi hun tera
Shikwe to bahut kar liye tujhse
Nazre mila bhi li jhuka bhi li
Barsa de teri rehmat thodi
Jo ban jaun main tera ya ho jaye bas tu mera
Aye khuda, karde riha mujhe
Karishma dikha apni inayat ki
Agar hai tu abhi aur tha kabhi
Bana de mujhe insaan ya mila le apni kaynat se
Bas yehi iltiza he meri
Thodi rehem barsa de apne bande pe
Ya mila de use apni tabassum se!!
Aye khuda..
Bas yehi iltiza he ... bas yehi iltiza he...